Aatay aatay sabr aa hi gaya
Teri janib se mujhko qaraar aa hi gaya
Socha jo tha nateeja na bhi milnay par
Jo na tha zad mein, uss par bhi qaboo aa hi gaya
Ye jazbaat o aqal kaise dhoka detay hain
Kitni ruswaiyan hui darpesh, phir samajh aa hi gaya
Khwaah makhwaah logon se kartay na phiro apnay gunah tasleem
Jo unko na aaya, phir woh tumko raas aa hi gaya
Ye kashti jab talatum se nahaat e sahili maangey
Jo raahe simt e najmi chordi to kinara aa hi gaya
Aajzi meri hai, ye bechaini, ye kamkoshi
Jama jo hua seenay mein, woh aankhon se bahir aa hi gaya
Dara bohat ke na karoon koi shikwa, koi nadamat
Ye lahoo ubalta mere andar, meri gustakhi mein aa hi gaya
Kya nateeja nikla is be taqalluff jeenay mein
Ek zakhm e nagahaan me hosh aa hi gaya
2025.03.12.06:47
Comments
Post a Comment